Yah Kanya Rupi Ratna Tumhe Main Aaj Samarpit Karta Hun Lyrics | कन्या रूपी रत्न
Yah Kanya Rupi Ratna Tumhe Main Aaj Samarpit Karta Hun Lyrics: यह कविता एक पिता के हृदय से निकली हुई अत्यंत भावुक विदाई है, जो वह अपनी पुत्री के विवाह के अवसर पर करता है। पिता अपनी बेटी को “कन्या रूपी रत्न” मानते हुए उसे पूरे सम्मान, प्रेम और आत्मसमर्पण के साथ उसके भावी जीवनसाथी को सौंप रहा है। कविता में पिता का गर्व, त्याग, पीड़ा, स्नेह और असहायता—सब एक साथ प्रकट होते हैं।
कविता में माँ की ममता, भाई-बहनों का बिछोह, घर की सूनी होती कुटिया और विदाई के समय बहते आँसू—ये सभी दृश्य विवाह की खुशी के साथ जुड़ी पीड़ा को अत्यंत मार्मिक ढंग से चित्रित करते हैं। यह रचना भारतीय संस्कृति में कन्या-दान की भावनात्मक गहराई को सुंदर शब्दों में व्यक्त करती है।
Yah Kanya Rupi Ratna Tumhe Main Aaj Samarpit Karta Hun Lyrics
Yah Kanya Rupi Ratn Tumhen – यह कन्या रुपी रत्न तुम्हें (गीत)
Yah Kanya Rupi Ratn Tumhe Main Aaj Samarpit Karta Hu.
Hriday Ka Pyara Tukda Lo, Main Tumko Arpan Karta Hoon.
Maa Ki Mamta Ka Saagar, Yeh Meri Aankhon Ka Taara Hain.
Main Kaise Samjhaoon Tumko, Kis Laad Pyaar Se Paala Hain.
Tum Dvaare Mere Aaye Ho, Main Kya Seva Kar Sakta Hoon.
Yeh Kanya Roopi Ratn Tumhein Main Aaj Samarpit Karta Hoon.
Mere Hriday Ke Neel Gagan Ka Yeh Chanda Sa Taara Tha.
Ab Tak Jaan Na Paaya Tha, Is Par Adhikaar Tumhaara Tha.
Lo Aaj Tumhein Is Kutiya Ki Sundarta Arpit Karta Hoon.
Yeh Kanya Roopi Ratn Tumhein Main Aaj Samarpit Karta Hoon.
‘Uma’ Se Bhool Bahut Hogi, Yeh Sarla Hain Sukumaari Hain.
Iske Apraadh Kshama Karna, Nij Maa Ki Dulaari Hain.
Yeh Baat Samajh Kar Main Man Hi Man Roya Karta Hoon.
Ye Kanya Rupi Ratn Tumhe Main Aaj Samarpit Karta Hu.
Bhai Se Aaj Behan Bichhdi, Maa Se Bichhdi Maa Ki Mamta.
Behno Se Bichhudi Aaj ‘Uma’, Lo Tum Ho Iske Aaj Pita.
Main Aaj Pita Kehlaane Ka Adhikaar Samarpit Karta Hoon.
Yeh Kanya Roopi Ratn Tumhein Main Aaj Samarpit Karta Hoon.
Tha Jis Din Iska Janm Hua, Na Geet Baje Na Shehnaai.
Par Aaj Parinay Ke Avsar Par, Mere Ghar Bajti Shehnaai.
Mam Kutiya Ki Shobha Yeh, Main Barbas Arpan Karta Hoon.
Yeh Kanya Roopi Ratn Tumhein Main Aaj Samarpit Karta Hoon.
Yeh Jaayegi Sab RoyenGe, ChhalKega Nayanon Ka Saagar.
Bhaiya Bhabhi Behne Royen, RoyenGi Sab Saakhiyan Aakar.
Lo Aaj Tumhein In Haathon Se Priya ‘Uma’ Ko Arpit Karta Hoon.
Yah Kanya Rupi Ratna Tumhe Main Aaj Samarpit Karta Hun
Unknown's Hits
Kanya Rupi Ratna Song Details:
| Song | Kanya Rupi Ratna |
|---|---|
| Artist | Unknown |
| Lyricist | Unknown |