
Tum Mere Ho Title Song Lyrics – Mohammad Faiz
Tum Mere Ho Lyrics: is the title track of the upcoming Hindi romantic film Tum Mere Ho, sung by Mohammad Faiz, with music composed by Vivek Verma and Krish and lyrics written by Rashmi Virag. The music is produced by Vaibhav Pani. This soulful romantic song captures the timeless feeling of love and togetherness. The film stars its cast in a heartwarming love story and is directed by Ashish Panda. The song is released under the Saregama music label. Enjoy the beautiful Tum Mere Ho Lyrics from the film’s title track.
Tum Mere Ho Title Song Lyrics - Mohammad Faiz
Tere Ishq Mein Barbaadiyon Ka
Jashn Manzoor Hai
Sach Bas Yahi Tere Aage
Dil Mera Yeh Majboor Hai
Tu Zami Pe Rahe Aasma Mein Chipe
Main Chala Aaunga Tu Jahaan Bhi Rahe
Dooriyon Mein Bhi Paas Raho
Jeene Marne Ka Waada Karo
Tum Mere Ho Mere Hi Raho
Jeene Marne Ka Waada Karo
Haan Waada Yeh Waada Karo
Tum Mere Ho Mere Hi Raho
Likha Hai Mere Haathon Mein Yeh Ke
Tu Hai Bana Bas Mere Liye
Chaahe Khatam Ho Jaaye Yeh Saansein
Aaunga Phir Se Tere Liye
Aaunga Phir Se Tere Liye
Pehla Pehla Yeh Ishq Hai
Aakhir Mein Bas Main Aur Tum
Baarish Khushboo Aur Yeh Hawa
Zarra Zarra Main Aur Tum
Mere Liye Khuda Tum Hi Ho
Tum Mere Ho Mere Hi Raho
Haan Waada Yeh Waada Karo
Tum Mere Ho Mere Hi Raho
Meri Mohabbat Jaaye Na Zaaya
Itna Rehem Toh Karna Khuda
Yaar Ko Mera Saaya Bana De
Rakhu Salamat Usko Sada
Rakhu Salamat Usko Sada
Zakhmo Ka Marham Ho Tum Hi
Tumko Choo K Ji Jaunga
Tum Bin Duniya Veeran Hai
Tum Na Ho Toh Mar Jaunga
Mere Hisse Ki Saansien Bhi Lo
Jeene Marne Ka Waada Karo
Haan Waada Yeh Waada Karo
Tum Mere Ho Mere Hi Raho
Haan Waada Yeh Waada Karo
Tum Mere Ho Mere Hi Raho
Tum Mere Ho Title Song Music Video
Mohammad Faiz's Hits
Tum Mere Ho Title Song Song Details:
| Song | Tum Mere Ho Title Song |
|---|---|
| Album | Tum Mere Ho |
| Artist | Mohammad Faiz |
| Lyricist | Rashmi Virag |
| Musician | Krish, Vaibhav Pani, Vivek Verma |
| Cast | Gurmeet Choudhary, Isha Malviya |
| Director | Ashish Panda |
| Label | Saregama |