
Shabnam Lyrics – Coke Studio | Maanu, Zoha Waseem
Shabnam Lyrics from Coke Studio Nu WAV: is a latest Urdu song performed by Maanu and Zoha Waseem with music is given by Talal Qureshi while Shabnam song lyrics are written by Maanu. The track is part of the inaugural edition of Coke Studio Nu WAV, released on October 16, 2026.
Shabnam Lyrics - Coke Studio | Maanu, Zoha Waseem
Hamara Tha Jo Rishta Woh Tu Aise Tod Gayi
Parwana Aatishon Ka Tu Ye Shole Chhod Gayi
Ab Ek Hi Ton Tamanna Hai Jo Mujh Mein Reh Gayi
Ke Baandhun Dil Ka Dhaaga Tujh Se Phir Se Humnasheen
Dil Rehta Ye Pyaasa Ke Mil Jaye Dilasa
Meri Shabnam, Bichhadna Na
Jo Tu Karti Zikr Main Kar Jata
Haan, Saansein Phool Gayi Meri
Ye Justujoo Jo Hai Teri
Hai Mujh Mein Aag Yun Bhad Ke
Ab Bechaini Mein Ye Dil Dhadke
Haan, Jab Tu Aaye Yun Ban Ban Ke
Dekhun Tujhe Chupke Se Dar Dar Ke
Tujh Pe Jitna Bhi Hum Marte
Kam Padta Hai Jo Bhi Kar Le
Diya Kya Kuch Tere Sadke
Phir Bhi Karti Dil Pe Hamle
Meherbaani Kar De Tu, Bhooli Na
Aasmaan Se Laaun Taare
Chahiye Tu Hi, Chahiye Tu Hi
Raahguzar Tere Hum
Meri Shabnam, Meri Shabnam
Aasmaan Se Laun Taare
Soona Yeh Jaha
Raahguzar Tere Hum
Meri Shabnam Meri Shabnam
Hamara Tha Jo Rishta Woh Tu Kaise Chhod Gaya
Armaano Ka Tha Wada Woh Tu Kaise Tod Gaya
Haan Galti Thi Tumhari Mujhko Mujrim Na Thehra
Haan Mujh Se Ab Wafa Ki Tu Tavaqqo Rakhi Na
Ab Alvida Hi Jaano
Ke Badle Ab Ye Raahein
Mehngi Padi Ye Aashiqui
Hai Justujoo Jo Thi Teri
Irade Bhool Gayi Tere
Bas Ab Se Tum Nahi Mere
Mila Kya Pyar Mein Pad Ke
Ab Bedardi Mein Ye Dil Dhadke
Kya Kuch Ganwaya Hai Lad Ke
Chukati Ye Qarz-E
Banaya Tha Deewana
Ab Na Maanoon Teri Shartein
Gila Bhi Kya Karein Hum
Kahein To Kya Kahein Hum
Meherbaani Kar De Tu, Poochhi Na
Hamara Tha Jo Rishta Woh Tu Aise Tod Gayi
Parwana Aatishon Ka Tu Ye Shole Chhod Gayi
Ab Ek Hi To Tamanna Hai Jo Mujh Mein Reh Gayi
Ke Baandhun Dil Ka Dhaaga Tujh Se Phir Se Humnasheen
Aasmaan Se Laaun Taare
Chahiye Tu Hi, Chahiye Tu Hi
Raahguzar Tere Hum
Meri Shabnam, Meri Shabnam
Aasmaan Se Laaun Taare
Chahiye Tu Hi, Chahiye Tu Hi
Raahguzar Tere Hum
Teri Shabnam, Teri Jaan
Aasmaan Se Laaun Taare
Meri Shabnam, Meri Shabnam
Aasmaan Se Laaun Taare
Teri Shabnam, Teri Jaan
Shabnam Music Video
Shabnam Song Details:
| Song | Shabnam |
|---|---|
| Album | Coke Studio Nu WAV |
| Artist | Maanu, Talal Qureshi, Zoha Waseem |
| Lyricist | Maanu |
| Musician | Talal Qureshi |
| Label | Coke Studio |