Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Song Lyrics – Indresh Upadhyay

LyricsRead presents the “Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Song Lyrics,” beautifully sung by Pujya Shri Indresh Upadhyay Ji Maharaj, is a soulful bhajan celebrating the divine bond between Yashoda Maiya and her beloved Krishna (Lalna). The song’s heartfelt lyrics and devotional melody evoke love, blessings, and spiritual joy, expressing wishes for endless happiness and prosperity for Yashoda’s child.

Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Song Lyrics - Indresh Upadhyay

Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Tero Lallna
Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Tero Lallna
Are Haan Tero Lallna Nand Rani Tero Lallna

Tero Lallna Nand Rani Tero Lallna
O Tero Lallna Maharani Tero Lallna
Tero Lallna Maharani Tero Lallna

Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Tero Lallna
Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Tero Lallna

Kaiseo Lala Hai Yashoda Maiya Ko Lala Kaiso Hai?
Dekho Purushottam Kshetra Mein Shri Mandir Mein Virajmaan Hai
Yashoda Maiya Ko Lala

Vastav Mein Jagannath Ji Ka Roop Kaisa Bhi Ho
Lekin Pyaare Bade Lagte Hain Aise Gol Matol
Kha Pi Ke Badhiya Mote Taje Hokar Ke Baithe Hain

Kabhi Kabhi Mera Mann Karta Hai Ki
Shri Jagannath Ji Ko God Mein Utha Lein
Lekin Bahut Bhaari Hai Kahaan Se Uthaayenge?

Bandhu Ek Baat Batayein
Pehle Praavdhan Tha Ki Mandir Ke Bheetar Jaakar
Jagannath Ji Ko Hriday Laga Sakte The

Kai Vaishnavon Ko Prachin Kaal Mein
Jo Log Jagannath Puri Aaye Honge
Unko Yeh Sukh Mila Bhi Hoga
Jagannath Ji Ko Hriday Se Lagane Ka

Baad Mein Hum Logon Ka Bhojan
Humara Khan-Paan Itna Apavitra Ho Gaya
Ki Phir Uska Darshan Band Ho Gaya

Kuch Paapi Log Bheetar Jaakar
Apavitrata Karne Lage
Isliye Band Kar Diya Gaya

Phir Bhi Kuch Logon Ko Sukh Mila
Jagannath Ji Ko Gale Lagane Ka

Ab To Gale Nahin Laga Sakte
Par Bhaav Se Door Se Hi
Thakur Ji Ke Dono Bhujaon Ke Neeche Haath Karke
Yo To Kar Hi Diya Karo:
Lo God Mein Khila Liya Humne Aapko

Bade Bhaag Se Yashoda Maiya Eso Sut Jaayo
Bade Bhaag Se Yashoda Maiya Eso Sut Jaayo
Bade Bade Bhaag Te Yashoda Maiya Eso Sut Din Jaayo
Bade Bhaag Te Yashoda Maiya Eso So Jaayo

Poorn Brahm Jagat Ko Swami
Haan Poorn Brahm Jagat Ko Swami
So Te God Khilayo
Ya Ko Mangwa De Palnwa Tero Lallna
Ya Ko Mangwa De Palnwa Tero Lallna

Jug Jug Jeeve Ri Nand Rani Maiya Tero Laal
Jug Jug Jeeve Ri Nand Rani Maiya Tero Laal
Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Tero Lallna
Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Tero Laal

Dhanya Ghadi Jab Hoye Yashoda Maiya Keh Ke Bole
Dhanya Ghadi Jab Hoye Yashoda Maiya Keh Ke Bole
Noopur Baandh Do Charanan Mein Ghutman Ghutman Dole
Baandh Do Charanan Mein Ghutman Ghutman Dole

Pakde Baba Ki Ungliya Tero Lallna
Pakde Baba Ki Ungliya Tero Lallna
He Pakde Baba Ki Ungliya Tero Lallna
Pakde Baba Mero Lallna

Jug Jug Jeeve Meri Yashoda Maiya Mero Lallna
Jug Jug Jeeve Meri Yashoda Maiya Mera Laal

Nand Ghar Anand Bhayo Jai Kanhaiya Laal Ki!
Yashoda Ke Anand Bhayo Jai Ho Jagannath Ki!
Nand Ghara Nand Bhayo Jai Ho Jagannath Ki!
Jai Nand Ghar Anand Bhayo Jai Ho Jag Ke Naath Ki!
Jai Ho Jagannath Ki! Jai Ho Jag Ke Naath Ki!

Bolo Nand Ke Laala Ki Jai!

If Found Any Mistake in Lyrics?, please report them here! Report

Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Music Video

Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Song Details:

SongJug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya
ArtistIndresh Upadhyay
LyricistIndresh Upadhyay
LabelIndresh Upadhyay

Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya Song FAQs

Who performed the song "Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya"?

The song "Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya" was performed by Indresh Upadhyay.

Who wrote the lyrics for "Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya"?

The lyrics of "Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya" were written by Indresh Upadhyay.

Which music label released the song "Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya"?

The song "Jug Jug Jeeve Ri Yashoda Maiya" was released under the label Indresh Upadhyay.