
Jaan-E-Jaan Lyrics – Aditya Rikhari | Farhan Khan
Jaan-E-Jaan Lyrics: is latest Hindi song sung by Aditya Rikhari, Farhan Khan, and Ravator with music is given by Aditya Rikhari, Farhan Khan, and Ravator while Jaan-E-Jaan song lyrics are written by Aditya Rikhari and Farhan Khan. The song is released under T-Series.
Jaan-E-Jaan Lyrics - Aditya Rikhari | Farhan Khan
O Kaisi Ulfat Hai Jaana
Dil Bhi Lagana Musibat Hai Jaana Par
Tu Badi Dilkash Hai Jaana
Tu Badi Dilkash Hai Jaana
Le Tere Ishq Mein
Deewane Ki Ho Gayi Kya Haalat Hai Jaana Par
Tu Badi Dilkash Hai Jaana
Le Hazir Phir Teri Khidmat Mein Jaana
Na Tu, Haan Tu Mere Ishq Ko Aabaad Kar
Yun Kuch Yun Bhar Baaho Mein Ke Azad Kar
Tu Rakh Le Saansein Meri Girvi Magar
Yeh Karz Deke Mujhse Kabhi Jaane Ki Na Phir Baat Kar
Le Jaan-E-Jaan Tera Hua Jee Chahe Waise Kharch De
Dard-E-Daawa Har Dard Ki Jee Bhar Ke Phir Se Mujhe Dard De
Kar Zalima Ek Aur Dafa Barbad Par Is Shart Pe
Tere Hijr-E-Gham Se Na Mare Toh Maar Dena Mujhe Haske
Baithe-Baithe Chaukhato Pe Terе
Mere Jaana Kitne Hi Din Yuhi Kat Gai, Hayе..
Bhuri-Bhuri Aankhein Jise Dekho Maar Dale
Mujhe Bhi Dekho Naazar Bhar Ke, Haye..
Jaan Ja Rahi Ho Par Tu Saamne Jo Mere
Dil Dekhe Tujhe Ruk-Ruk Ke, Haye..
Yeh Mehndi Mere Naam Ki, Hatheliyon Pe Teri
Ho Khudaya Aesa Kuch Karde, Haye..
Sab Haar Baitha Teri Chand Baliyon Ke Sadke
Teri Misal Nusrat Ki Qawwali Mai Darj Hai
Main Mamuli Sa Shayar Teri Taarefei Karu
Tu Meri Shayari Pe Bajne Wali Taaliyon Se Badh Ke
Mujhe Zarurat Teri Jaise Raat Ko Subh Ki
Jaise Baat Ko Zuba Ki, Bande Zaat Ko Khuda Ki
Tu Khwab Mera Chahu, Apne Khwab Ko Main Paalu
Tu Zarurat Meri Jaise Uthte Hath Ko Dua Ki
Mere Sajdo Mein Shamil Aur Namazo Mein Bhi
Mere Gunaah Mein Shamil Tu Mere Sharab Mein Bhi
Aur Jab Sharab Banke Utre Mere Jism Mein Tu
Har Zarra-Zarra Tera Mera Kuch Bacha Hi Nahin
Le Jaan-E-Jaan Tera Hua Jee Chahe Waise Kharch De
Dard-E-Dawa Har Dard Ki Jee Bhar Ke Phir Se Mujhe Dard De
Kar Zalima Ek Aur Dafa Barbad Par Is Shart Pe
Tere Hijr-E-Gham Se Na Mare Toh Maar Dena Mujhe Haske
Jaan-E-Jaan Music Video
Aditya Rikhari's Hits
Jaan-E-Jaan Song Details:
| Song | Jaan-E-Jaan |
|---|---|
| Artist | Aditya Rikhari, Farhan Khan |
| Lyricist | Aditya Rikhari, Farhan Khan |
| Musician | Aditya Rikhari, Farhan Khan, Ravator |
| Label | T-Series |