
Gulkand Song Lyrics – Shahid Mallya
Gulkand song lyrics feature Shahid Mallya’s soulful voice, with words by Himank Kalal and music by Sarthak Nakul, presented by Panorama Music. The song has a sweet, romantic feel, mirroring the gentle touch of rose petals. Actors Saira Mukhtar and Zaan Khan, under director Honey’s vision, bring the song’s emotional depth to life, sharing a message of love and tenderness through its simple yet powerful lyrics.
Gulkand Lyrics - Shahid Mallya
Aa Gulkan Si Meethi Mithaas Ishq Hai
Phoolon Ka Reshmi Libaas Ishq Hai
Roohani Roomani Ehsaas Ishq Hai
Tumhari Meri Har Saans Ishq Hai
Bhinibhini Si Kastoori Si
Mehak Mein Mehakne Laga Hoon
Dheeme Dheeme Se Ishq Ka Matlab
Ab Main Samajhne Laga Hoon
Noorani Hoti Hai Mohabbat Ki Duniya
Farishte Bhi Keh Ke Gaye Hain
Jo Mehsoos Kar Na Sake Is Safar Ko
Wo Tanha Hi Reh Gaye Hain
Gulkan Si Meethi Mithaas Se Ishq Hai
Phoolon Ka Reshmi Se Ishq Hai
Tumhari Meri Har Saansein Ishq Hai
Mehsoos Karne Laga Ishq
Mehfil To Saahir Sa Shayar Hua
Dil Gulaabi Jahaan Mein
Feroz Sitara Banke Hua Hoon Main
Shaamil Meherbani Rab Ke
Ye Shabnami Rang Jo Meri Rooh Ke Paas Hai
Naseebon Wale Hain Wo Log
Jinko Mila Ye Saans Hai
Makhmal Sa Komal Lihaaf Ishq Hai
Jugnu Sa Roshan Khwaab Ishq Hai
Kabhi Ye Shehar Hai Kabhi Shaam Hai
Kabhi Dard Hai Kabhi Aaraam Hai
Gulkan Si Meethi Mithaas Ishq Hai
Phoolon Ka Reshmi Libaas Ishq Hai
Roohani Roomani Ehsaas Ishq Hai
Tumhari Meri Har Saans Ishq Hai
Gulkand Music Video
Shahid Mallya's Hits
Gulkand Song Details:
| Song | Gulkand |
|---|---|
| Artist | Shahid Mallya |
| Lyricist | Himank Kalal |
| Musician | Sarthak Nakul |
| Cast | Saira Mukhtar, Zaan Khan |
| Director | Honey |
| Label | Panorama Music |